Bahut door nikal aya hun ab
manzil jo dhundhli thi
bade jatan se banayee thi
jaan padta hai ki
Kisi ne uspe doosra koi rang chadha diya hai
rang jo mera nahin hai, pehle jaisa dikhta nahin hai
Lighthouse jis se wo rasta roushan hota tha
band kamre ke ghhupp andhere mein kahin kho sa gaya hai
sidhiyaan jo kamre ke choukhat tak gayeen hain
ab chat tak nahin jaati
Bahut door nikal aya hun ab
Tadke jab chale the
pahari nadi see raftaar thi
shankhnaad see hunkaar thi
rukavatein tik na sakin,
ghatayein baras na sakin
log mile, sath hue pad bichad gaye
Aj shaam hone ko hai
aur main akela hi khada hun
Badi door nikal aya hun ab
Kabhi kabhi bagal ke kamre se aahat aati hai
wo kamra pehle jaisa bada nahin hai
wahan andhera bhi nahin hai
seedhiyaan concrete ki hai,
railing lohe ki hai jo
bahut unchai tak jaati dikhti hai
Main bhi ab logon ko chadhte dekh
peeche ho leta hun
unki hansi hansta hun
ab unse rona bhi seekh leta hun
Bahut door nikal aaya hun ab
manzil jo dhundhli thi
bade jatan se banayee thi
jaan padta hai ki
Kisi ne uspe doosra koi rang chadha diya hai
rang jo mera nahin hai, pehle jaisa dikhta nahin hai
Lighthouse jis se wo rasta roushan hota tha
band kamre ke ghhupp andhere mein kahin kho sa gaya hai
sidhiyaan jo kamre ke choukhat tak gayeen hain
ab chat tak nahin jaati
Bahut door nikal aya hun ab
Tadke jab chale the
pahari nadi see raftaar thi
shankhnaad see hunkaar thi
rukavatein tik na sakin,
ghatayein baras na sakin
log mile, sath hue pad bichad gaye
Aj shaam hone ko hai
aur main akela hi khada hun
Badi door nikal aya hun ab
Kabhi kabhi bagal ke kamre se aahat aati hai
wo kamra pehle jaisa bada nahin hai
wahan andhera bhi nahin hai
seedhiyaan concrete ki hai,
railing lohe ki hai jo
bahut unchai tak jaati dikhti hai
Main bhi ab logon ko chadhte dekh
peeche ho leta hun
unki hansi hansta hun
ab unse rona bhi seekh leta hun
Bahut door nikal aaya hun ab
"sidhiyaan jo kamre ke choukhat tak gayeen hain
ReplyDeleteab chat tak nahin jaati "
Best lines lagin ye mujhe.... dil ko choo gayi
thanx yaar ,mujhe likhte samay bhi yahi feeling ayee thi . waise bhi tum aasani se issse connect ho jate ho.
ReplyDelete